Nazm/Hamd Lyrics

Mera Watan By Unknown


Jihad jis ka naam hai,

Bahaduron ka jam hai,

Yeh jam zum karti ho,

Jio to bey dharrak jio,

Yeh dil yeh jaan waar do,

Mera watan sawar do,

Zameen pe nahin qadam,

 Hawa bhi haat mein nahin,

Guzarte waqt ka koi,

Sira bhi haat mein nahin,

Chale hein pihr logh kidhar,

Pohonch na hai kahin agar,

Un nafraton ko piyar do,

Mera watan sanwar do,

Yeh dil yeh jaan waar do,

Mera watan sanwar do,

Chunay thay jis ka dar gulab,

Woh khaar khaar ho ga-e,

Bunay ga eisa jitne khwab,

Woh taar taar ho ga-e,

Gulab hein na khwab hein,

Azab hi azab hein,

Chaman ko pihr bahaar do,

Mera watan sanwar do,

Yeh dil yeh jaan waar do,

Mera watan sanwar do,

Saji hai afrat afreeon ka jalaron se masnadein,

Ka kuch usul e sultanat na ikhtiar ki hadein,

Nizam sub ulat gaya ghubaar se jo utt gaya,

Woh a-ina nikhar do,

Mera watan sanwar do,

Yeh dil yeh jaan waar do,

Mera watan sanwar do,

Kisi ki kamtari ko izzat o waqaar ka nasha,

Kisi ko zor zar kisi ko ikhtidar ka nasha,

Nashe mein kuch tamaam hai,

Nashe to sub haram hai,

Yeh sub nashe utaar do,

Mera watan sanwar do,

Yeh dil yeh jaan waar do,

Mera watan sanwar do,

Haram ko ja-e gi agar,

Yeh rah guzar to jaoon ga,

Na ji saka,

 To haq ke raaste mein marto jaoon ga,

Khuda se jo karewafa,

Chale jo su e Mustafa,

Mujhe woh shehsawar do,

Mera watan sanwar do,

Yeh dil yeh jaan waar do,

Mera watan sanwar do!