Mushkil hai safar e dunya,
Rulata hai nafs e insan,
Sahi raste ki choot,
Ne kardia sub ko bhoot,
Kisi ko seedhi baat nahi ati,
Sirf ulti baton ka maza,
Logon ki ehmiut nahi,
Sirf paison ka khazana,
Kia ye sahi hai ya nahi?
Mushkil hai safar e dunya,
Rulata hai nafs e insan,
Sahi raste ki choot,
Ne kardia sub ko bhoot,
Kisi ko seedhi baat nahi ati,
Sirf ulti baton ka maza,
Logon ki ehmiut nahi,
Sirf paison ka khazana,
Kia ye sahi hai ya nahi?
Dil pe kia guzar rahi hai,
Aapko kia maloom,
Jo aik pareshani hai,
Woh to dikh nahi rahi,
Bus jo upar hai,
Wohi diekh ke tup gae,
Kuch parwa nahi ki,
Ke jaana,
Tumhe kia dukh hai!
Khali dimagh ho raha hai,
Soojhta kuch bhi nahi,
Aik hi iltija hai,
Najat o sukoon mile abhi!
Dard hi dard hai,
Aa ke marhum rakh de koee,
Insan bun jao,
Kub tuk eise chalega bhayy!
Behki dunya mein,
Aik sacha nahi sajhta,
Zahir hai logh bhi yahi kahenge,
Ke ay shakhs tu idar nahi sajhta!
Badalon ki chaon mein,
Hawaon ke halkoron mein,
Narmahutt e mausam mein,
Khuli fazaon mein doobei,
Kuch logh nazar ae hein,
Jinko haqeeqat mein Allah ka ehsan mila hai,
Dil se dua nikli hai,
Ya Rabb nazar se bachaen unhen!
Kitni piyari yaadein hein,
Kitni anokhi batein hein,
Kia kuch yaad aa raha hai,
Woh din barishon mein ghoomte huwei,
Woh din paharrion mein guzrei huwei,
Woh din jub hotel mein akhatta huwei,
Woh din jub baraf bari ke golei parrei,
Woh din jub tareekhi dramei khelei gae,
Ah kitnei piyarei din thei woh,
Muskrati yaadein hein woh!