Posted in Announcements, Bharra Dimagh

Suno


Khamush az zehani honei ka anjaam,

Saya e khauf ko dawat deita hai,

Iss marz se bachnei ke liye,

Huq e zabani se kaam lo!

Advertisements
Posted in Bharra Dimagh, Urdu Poetry

Nazar se Bachaen


Badalon ki chaon mein,

Hawaon ke halkoron mein,

Narmahutt e mausam mein,

Khuli fazaon mein doobei,

Kuch logh nazar ae hein,

Jinko haqeeqat mein Allah ka ehsan mila hai,

Dil se dua nikli hai,

Ya Rabb nazar se bachaen unhen!

Posted in Bharra Dimagh, Urdu Poetry

Yaadon ki Fehrist


Kitni piyari yaadein hein,

Kitni anokhi batein hein,

Kia kuch yaad aa raha hai,

Woh din barishon mein ghoomte huwei,

Woh din paharrion mein guzrei huwei,

Woh din jub hotel mein akhatta huwei,

Woh din jub baraf bari ke golei parrei,

Woh din jub tareekhi dramei khelei gae,

Ah kitnei piyarei din thei woh,

Muskrati yaadein hein woh!